Monday, 29 October 2012

Aksar shab-e-tanhaii mein, kuch der pehle neend se
Guzri huwi dil-chaspian, beete huwe din aish ke
Bante hain shama-e-zindagi, aur daalte hain roshni
Mere dil-e-sad chaak par

Woh bachpan aur wo saadgi, woh rona woh hansna kabhi
Phir woh jawaani ke maze, woh dil lagi woh qehqahe
Woh ishq woh ehd-e-wafa, woh waada aur woh shukriya
Woh lazzat-e-bazm-e-tarab, yaad aate hain ek ek sab
Dil ka kanwal jo
 roz-o-shab, rehta shagufta tha so ab
Us ka yeh abtar haal hai, ek sabza-e-pamaal hai
Ek phool kumlaya hua, sookha huwa bikhra huwa
Ronda paRa hai khaak par

-- Thomas Moore (translated into Urdu by Nadir Kakorvi)

No comments:

Post a Comment