Wednesday, 21 July 2010

Poetry from Sitara and Mehrunnisa (the drama)

Sar mein sauda bhee nahi
Dil main tamanna bhee nahi
Lekin iss tark-e-muhabbat ka bharosa bhee nahi
Yun tau hangama uthata nahi divaana-e-ishq
Magar aai dost kuch aison kaa thikana bhee nahi
Yaad kartay hain kisi ko magar itna bhee nahi
Bhool jatay hain kisi ko magar aisa bhee nahi
Muddatain ghuzrain aur teri yaad naa bhee aai hamain
Aur ham bhool gai hon tumhain aisa bhee nahi
Moonh Se Ham Apane Buraa To Nahiin Kahate Ke Firaq
Hai Teraa Dost Magar Aadamii Achchhaa Bhii Nahin

Excerpted from 5:44 to 6:08

Rendition by Begum Akhtar:



No comments:

Post a Comment