Thursday, 16 December 2010

khaab mertey nahi - nayara noor



Lyrics:

Khwaab martay nahiN
Khwaab dil hai na aaNkhaiN na saaNs k jo
Raiza-raiza huay to bikhar jaiNgay
Jism ki maut say yeh bhi mar jaiNgay

Khwaab martay nahiN

Khwaab to raushni haiN,nawa haiN,hawa haiN
Jo kaalay pahaaroN say ruktay nahiN
Zulm kay daur-khooN say bhi phuktay nahiN

Raushni aur nawa aur hawa kay alum
MaqtaloN maiN pahuNchkar bhi jhuktay nahiN

Khwaab to harf haiN
Khwaab to noor hain

Khwaab suqraat haiN
Khwaab maNsoor haiN 


--Ahmed Faraz

No comments:

Post a Comment