Hum Aur Bulbul e Betaab Guftagu Karte
Payaam Bar Na Mayassar Hua To Khoob Hua
Zabaan e Ghair Se Kyaa Shar Ki Aarzoo Karte
Meri Tarah Se Maah o Mahar Bhi Hain Aawara
Kisi Habib Ko Ye Bhi Hain Justajoo Karte
Jo Dekhte TERI Zanjeer e Zulf kaa Aalam
Aseer Hone Ke Aazaad Aarzoo Karte
Na Poochh Aalam e Baragashtaa Taali e Aatish
Barasati Aag Main Jo Baaraan Ki Aarzoo Karte
Qasid Pyam e Ishq Ko Itna Na Kar Taveel
itna Kehna Hai Faqat Ye Unse K Ankhein Taras Gayin.....
No comments:
Post a Comment